yeh aadha chaand, do taare
aur iss ped ke saaye se bheegi huyi yeh zameen...
kuch yaad dilaati hain..
taare kabhi, khoob saare huaa karte thhe
kabhi yeh aasmaan kaala hua karta tha
gehraa kaala
coffee sa kaala...
par ab mere hisse ke baaki taare,
iss shehar ki saanso mein dhundlaa gaye.
kaash, ki aasmaan ka ek sira pakad ke jhattak paata,
kisi chaadar ki tarah,
mann bhi, kabhi
kaash!
khair, bujhaaye hi rakho ab.
inn taaro ki tim-timaahat chubhti hain aankho mein,
bisree yaadon si, ab...
yeh aadha chaand aur yeh do taare bhi le jaao,
nahi chaahiye ab
saansein bhi, bass
iss ped ke saaye se bheegi huyi zameen
hi apni.