Thursday, December 27, 2012

sard raatein


iss sard mausam, sulaghtey daar kaafi hain khairiyat ko apni....

zukhaam-e-zar aap hi ko mubaarak !

Monday, April 16, 2012

Do Bol

Do bol, 
Chalo Bol bhi do..
Kyun chup-chup?
arre ab Bol bhi do

Dil udaas nahi, pareshaan hi sahi..
Hamesha ko kahaan bichhde?
Kuch faasle aaj, darmyaan hi sahi..
"yeh Chuppi khaa jaayegi andar se",
maine kaha.. aap maane nahi..

Aji, Humaari baaton ka kuch mol bhi do..
Do Bol, 
Zara Bol bhi do..


Neend ke jagah mann mein udaasi bhari,
Magar kahaan jaane ik baat, yeh gum-geen pari?
Ki, Jaagti aankhon se Jo duur jaa chuke hain,
Darasal Khwaahishon ke agley chauraahe pe hi ruke hain,

Palakon se unke khwaabon ko Zara tattol bhi do, 
Do Bol,
Zara Bol bhi do..
Kyun chup-chup,
Arre ab Bol bhi do..

Wednesday, April 11, 2012

Muqaddar

Kehte hain jo, "andhere Hain tumhaare muqaddar mein failey gehre",
Kyaa Jaane wo ki apne ujaale toh bass Tere chiraag ke muntazir thehre..

Saturday, December 3, 2011

towards unbeing


Inch another one
Like a second towards death
Or one away from life
I long to un-be
I wish to un-be

Hurt it does
Not a moment of joy
Taking so long to unlive
Wish all towards life..
Another night, ahoy,
another night...

Saturday, October 8, 2011

kamzarf raat

siyaah raat, haaye sard raat, 
phir bisree yaadein laayi, 
bedard raat.. 


khwaahish-e-aab mein saara din tapey hum, 
shabnam bhi kho kar aayi, 
aaj yeh zard raat.. 


jaane kitne hi katl karwaaye khwaabon ke, 
paas khadi muskaaye dekho, 
kamzarf raat.. 


dil tha buzzdil pehle se, magar, 
hasraton ko bhi kar deti ab toh, 
naa-mard, raat.. 


saansein ruk jaaye, hassti bujhh jaaye, 
aaye, kabhi aisi bhi aaye, 
meri humdard raat..

Monday, August 29, 2011

insaan koi ho

Baapu ke tab, aur ab anna ke sahaare,

Har koi, khud ko aise baa-imaan pukaare

Sach aur jhooth ki, kabhi pehchaan koi ho..

logon ki iss bheed mein, insaan koi ho..


Baarish mein jo, sadako pe be-libaas pade hain,

maasoom.. bad-naseeb.. aur udaas bade hain,

Bachhon ke inn chehron pe bhi muskaan koi ho..

logon ki iss bheed mein, insaan koi ho..


Upar ki har waqt kahee, na sochi yeh dharaa ki,

aaj meri baat yeh, sun lo toh zaraa si,

ki raam se aage, kabhi pahunche ye diwali,

aur mulk ko samjhe, aisa ramzaan koi ho..


logon ki iss bheed mein, insaan koi ho...

logon ki iss bheed mein, insaan koi ho...

Saturday, March 19, 2011

yeh aadha chaand... do taare...


yeh aadha chaand, do taare
     aur iss ped ke saaye se bheegi huyi yeh zameen...
kuch yaad dilaati hain..

taare kabhi, khoob saare huaa karte thhe
     kabhi yeh aasmaan kaala hua karta tha
gehraa kaala
coffee sa kaala...
     par ab mere hisse ke baaki taare,
iss shehar ki saanso mein dhundlaa gaye.

kaash, ki aasmaan ka ek sira pakad ke jhattak paata,
     kisi chaadar ki tarah,
     mann bhi, kabhi
kaash!


khair, bujhaaye hi rakho ab.
     inn taaro ki tim-timaahat chubhti hain aankho mein,
bisree yaadon si, ab...


yeh aadha chaand aur yeh do taare bhi le jaao,
     nahi chaahiye ab
     saansein bhi, bass
iss ped ke saaye se bheegi huyi zameen
     hi apni.